Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2c59ac381ff3f11dad63facc6a2b06ae, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Qalb-gah Mein Zara Zara Sa Kuchh - Atiiqullah Poetry In English - Darsaal

Qalb-gah Mein Zara Zara Sa Kuchh

qalb-gah mein zara zara sa kuchh

zaKHm jaisa chamak raha tha kuchh

yun to wo log mujh hi jaise the

in ki aankhon mein aur hi tha kuchh

tha sar-e-jism ek charaghan sa

raushni mein nazar na aaya kuchh

hum zamin ki taraf jab aae the

aasmanon mein rah gaya tha kuchh

dusron ki nazar se dekhenge

dekhna kuchh tha hum ne dekha kuchh

kuchh badan ki zaban kahti thi

aansuon ki zaban mein tha kuchh

(584) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Qalb-gah Mein Zara Zara Sa Kuchh In English By Famous Poet Atiiqullah. Qalb-gah Mein Zara Zara Sa Kuchh is written by Atiiqullah. Read famous Poem Qalb-gah Mein Zara Zara Sa Kuchh for youth and Student by Atiiqullah. Free Download Qalb-gah Mein Zara Zara Sa Kuchh in PDF.