Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b6a5e5cbb5c4ec6cd80264b172c68eb8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Supurd Kahan Wo KHazana Karta Tha - Atiiqullah Poetry In English - Darsaal

Mere Supurd Kahan Wo KHazana Karta Tha

mere supurd kahan wo KHazana karta tha

suluk karta tha aur ghaebana karta tha

ajib us ki talab thi ajab tha asp-e-sawar

ki mulk-o-mal ki parwa zara na karta tha

shiar-e-zist hunar tha so hum na jaan sake

jo kaam hum nai kiya dusra na karta tha

safar-girafta rahe kushtagan-e-nan-o-namak

hamare haq mein koi faisla na karta tha

faza mein hath to uTThe the ek sath kai

kisi ke waste koi dua na karta tha

tamam surat-e-tartib is ko aati hai

agarche KHair ko shar se juda na karta tha

wo qalb-gah-e-tamanna mein ek charagh ki lau

ko tez rakhta tha nazr-e-hawa na karta tha

uTha rakha tha usi par se e'tibar tamam

aur intizar bhi us ka zamana karta tha

unhin gharon se ibarat hai apni sham-e-jahan

charagh-e-taq bhi aksar jala na karta tha

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Supurd Kahan Wo KHazana Karta Tha In English By Famous Poet Atiiqullah. Mere Supurd Kahan Wo KHazana Karta Tha is written by Atiiqullah. Read famous Poem Mere Supurd Kahan Wo KHazana Karta Tha for youth and Student by Atiiqullah. Free Download Mere Supurd Kahan Wo KHazana Karta Tha in PDF.