Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e135d3094da893306e219c6031a9cd4f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kya Tumne Kabhi Zindagi Karte Hue Dekha - Atiiqullah Poetry In English - Darsaal

Kya Tumne Kabhi Zindagi Karte Hue Dekha

kya tum ne kabhi zindagi karte hue dekha

main ne to ise bar-ha marte hue dekha

pani tha magar apne hi dariya se juda tha

chaDhte hue dekha na utarte hue dekha

tum ne to faqat us ki riwayat hi suni hai

hum ne wo zamana bhi guzarte hue dekha

yaad us ke wo gulnar sarape nahin aate

is zaKHm se us zaKHm ko bharte hue dekha

ek dhund ki ranon mein pighalti hui pai

ek KHwab ki zarre mein utarte hue dekha

barik si ek daraz thi aur us se guzar tha

phir dekhne walon ne guzarte hue dekha

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Tumne Kabhi Zindagi Karte Hue Dekha In English By Famous Poet Atiiqullah. Kya Tumne Kabhi Zindagi Karte Hue Dekha is written by Atiiqullah. Read famous Poem Kya Tumne Kabhi Zindagi Karte Hue Dekha for youth and Student by Atiiqullah. Free Download Kya Tumne Kabhi Zindagi Karte Hue Dekha in PDF.