Kuchh Aur Din Abhi Is Ja Qayam Karna Tha
kuchh aur din abhi is ja qayam karna tha
yahan charagh wahan par sitara dharna tha
wo raat nind ki dahliz par tamam hui
abhi to KHwab pe ek aur KHwab dharna tha
agar rasa mein na tha wo bhara bhara sa badan
rang-e-KHayal se us ko tulu karna tha
nigah aur charagh aur ye asasa-e-jaan
tamam hoti hui shab ke nam karna tha
gurez hota chala ja raha tha mujh se wo
aur ek pal ke sire par mujhe Thaharna tha
(668) Peoples Rate This