Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_52ec0e5f5cf1ca0339864351e824e351, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kaun Guzra Tha Mehrab-e-jaan Se Abhi KHamushi Shor Bharta Hua - Atiiqullah Poetry In English - Darsaal

Kaun Guzra Tha Mehrab-e-jaan Se Abhi KHamushi Shor Bharta Hua

kaun guzra tha mehrab-e-jaan se abhi KHamushi shor bharta hua

dhund mein koi shai jun damakti hui ek badan sa badan se ubharta hua

sarf karti hui jaise saat koi lamha koi faramosh karta hua

phir na jaane kahan TuT kar ja gira ek saya saron se guzarta hua

ek umr-e-gurezan ki mohlat bahut phailta hi gaya main ufuq-ta-ufuq

mere baatin ko chhuti hui wo nigah aur main chaaron taraf panw dharta hua

ye jo uDti hui saat-e-KHwab hai kitni mahsus hai kitni nayab hai

phul palkon se chunti hui raushni aur main KHushbuen tahrir karta hua

mere bas mein the sare zaman-o-makan lek main dekhta rah gaya in o aan

chal diya le ke chuTki mein koi zamin aasman aasman gard karta hua

apni maujudgi se tha main be-KHabar dekhta kya hun aise mein yak-dam idhar

qata karti hui shab ke pahlu mein ek aadmi TuTta aur bikharta hua

(712) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Guzra Tha Mehrab-e-jaan Se Abhi KHamushi Shor Bharta Hua In English By Famous Poet Atiiqullah. Kaun Guzra Tha Mehrab-e-jaan Se Abhi KHamushi Shor Bharta Hua is written by Atiiqullah. Read famous Poem Kaun Guzra Tha Mehrab-e-jaan Se Abhi KHamushi Shor Bharta Hua for youth and Student by Atiiqullah. Free Download Kaun Guzra Tha Mehrab-e-jaan Se Abhi KHamushi Shor Bharta Hua in PDF.