Jab Bhi Tanhai Ke Ehsas Se Ghabraata Hun
jab bhi tanhai ke ehsas se ghabraata hun
main har ek chiz mein tahlil sa ho jata hun
main kisi jism pe phenka hua patthar to na tha
bar-ha apna lahu dekh ke sharmata hun
raat jo kuchh mujhe deti hai sahar se pahle
waqt ke gahre samundar mein utar aata hun
din ke hangame jila dete hain mujh ko warna
subh se pahle kai martaba mar jata hun
ek nashshe ki tarah TuT gaya hun KHud se
apne nazdik bhi mushkil se nazar aata hun
(678) Peoples Rate This