Farar Ke Liye Jab Rasta Nahin Hoga
farar ke liye jab rasta nahin hoga
to bab-e-KHwab bhi kya koi wa nahin hoga
ek aise shahr mein kuchh din Thahar ke dekha jae
jahan kisi ko koi jaanta nahin hoga
wo baat thi to kai dusre sabab bhi the
ye baat hai to sabab dusra nahin hoga
yun is nigah ko apni kushada rakhte hain
ki is ke baad kabhi dekhna nahin hoga
jo tang hote gae qalb-ha-e-sina-maqam
koi maqam maqam-e-dua nahin hoga
koi zamin to hogi teri zaminon par
hamare jaisa koi naqsh-e-pa nahin hoga
(657) Peoples Rate This