Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9aac610a3fc3851bdf8d5aa25bddc039, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ke Nazdik To Saya Bhi Nahin Hai Koi - Atiiqullah Poetry In English - Darsaal

Dil Ke Nazdik To Saya Bhi Nahin Hai Koi

dil ke nazdik to saya bhi nahin hai koi

is KHarabe mein to aaya bhi nahin hai koi

har suragh apni jagah ret mein madum hua

dur tak naqsh-e-kaf-e-pa bhi nahin hai koi

apne sukhe hue gul-dan ka gham hai mujh ko

aankh mein ashk ka qatra bhi nahin hai koi

dur se ek hayula sa nazar aata hai

pas se dekho to milta bhi nahin koi

kitne din hote hain hathon mein qalam tak na liya

kaghazon mein nazar aata bhi nahin hai koi

ek hi satr likhi thi ki ye ehsas hua

lafz aur mani mein rishta bhi nahin hai koi

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke Nazdik To Saya Bhi Nahin Hai Koi In English By Famous Poet Atiiqullah. Dil Ke Nazdik To Saya Bhi Nahin Hai Koi is written by Atiiqullah. Read famous Poem Dil Ke Nazdik To Saya Bhi Nahin Hai Koi for youth and Student by Atiiqullah. Free Download Dil Ke Nazdik To Saya Bhi Nahin Hai Koi in PDF.