Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_394cab18a560fd3a176e59a1d2170b79, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aasman Ka Sitara Na Mahtab Hai - Atiiqullah Poetry In English - Darsaal

Aasman Ka Sitara Na Mahtab Hai

aasman ka sitara na mahtab hai

qalb-gah mein jo ek jins-e-nayab hai

aaina aaina tairta koi aks

aur har KHwab mein dusra KHwab hai

aur hai shama ke batan mein raushni

tere aaine mein aur hi aab hai

ye charagh aur hai wo sitara hai aur

aur aage jo ek hijr ka bab hai

aur phaili hui hai jo ek dhund si

aur aqab mein jo ek zina-e-KHwab hai

bas wo lamha jo tujh se ibarat hua

baqi jo chiz hai wo fana-yab hai

KHwab ne to raqam kar diya tha tujhe

hasil-e-shab yahi chashm-e-pur-ab hai

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasman Ka Sitara Na Mahtab Hai In English By Famous Poet Atiiqullah. Aasman Ka Sitara Na Mahtab Hai is written by Atiiqullah. Read famous Poem Aasman Ka Sitara Na Mahtab Hai for youth and Student by Atiiqullah. Free Download Aasman Ka Sitara Na Mahtab Hai in PDF.