Aane Wala To Har Ek Lamha Guzar Jata Hai
aane wala to har ek lamha guzar jata hai
wo ghubar uDta hai ambar sa dhar jata hai
kaun se ghaar mein gir jata hai manzar sara
kin KHalijon mein bhara-shahr utar jata hai
pattiyan sukh ke jhaD jati hain chhaT jate hain phal
jis ko mausam kaha karte hain wo mar jata hai
lams ki shiddaten mahfuz kahan rahti hain
jab wo aata hai kai fasle kar jata hai
intizar ek baDi umr ka daryuza-gar
jo bhi aata hai koi sil yahan dhar jata hai
(684) Peoples Rate This