Wo Baat Jis Se Ye Dar Tha Khuli To Jaan Legi
wo baat jis se ye Dar tha khuli to jaan legi
so ab ye dekhiye ja ke wo dam kahan legi
milegi jalne se fursat hamein to sochenge
panah rakh hamari kahan kahan legi
ye aag jis ne jalae hain shahron jangal sab
kabhi bujhegi to ye surat-e-KHizan legi
ye din jo tha ye raha hain gawah wadon ka
ye shab jo hai tere dawon ka imtihan legi
utar gai hai mere jism mein jo ye wahshat
nikalte waqt yahi umr-e-jawedan legi
zara si KHak lahu de ke mutmain hain kyun
abhi to rah-e-safar rahrawon ki jaan legi
wasia itni hai uryaniyat ye jaan ki dekh
badan ke dhakne ko ye kitne aasman legi
burida sar kiye jaenge sab jawan kirdar
wo chehra dekhna 'atif' ye dastan legi
(698) Peoples Rate This