Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9ceb64e643d960c14571cd58a6b6054c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Insan-e-naua Hun Main Isa-nafas Hun - Atif Khan Poetry In English - Darsaal

Main Insan-e-naua Hun Main Isa-nafas Hun

main insan-e-naua hun main isa-nafas hun

zamin se tumhaari main phir kal uThunga

main aadam hun be-jaan sa patthar nahin hun

bhanwar sa hun sahra mein pal pal uThunga

hun dariya ka pani ki jab bhi marunga

samundar ki ban ke main halchal uThunga

kabhi ki jo suraj ne wada-KHilafi

ye hai mera wada ke main jal uThunga

koi ishq jaise purana ho 'atif'

main mar ke bhi dil mein musalsal uThunga

(695) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Insan-e-naua Hun Main Isa-nafas Hun In English By Famous Poet Atif Khan. Main Insan-e-naua Hun Main Isa-nafas Hun is written by Atif Khan. Read famous Poem Main Insan-e-naua Hun Main Isa-nafas Hun for youth and Student by Atif Khan. Free Download Main Insan-e-naua Hun Main Isa-nafas Hun in PDF.