Kar Ke KHwab Aankh Mein Pahle To Wo Lae KHud Ko
kar ke KHwab aankh mein pahle to wo lae KHud ko
aur phir mujh ko jagane ko satae KHud ko
hai ye lazim ki malaek bhi bashar ho jaen
ab jo insan farishta nazar aae KHud ko
aaKHri marhala aaya hai mohabbat ka ab
ab diya KHud hi bujha kar bhi dikhae KHud ko
wo pazirai kahin ishq mein milti hi nahin
jo bhi ruTha hai wo ab KHud hi manae KHud ko
mujh mein tu tujh mein talashun hun main sirat apni
sang is tarz pe aaina bulae KHud ko
waqt-e-duniya ko samajhne mein karen zaya kya
haif ab tak to na hum hi samajh aae KHud ko
rahzan-e-asr hi le jae na aage ki rah
kah do 'atif' se ki tezi se baDhae KHud ko
(707) Peoples Rate This