Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b733a7ccacbff1eeaecaedacd0a65591, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Takabbur Se BhaTakti Hai Zaban - Atif Khan Poetry In English - Darsaal

Jo Takabbur Se BhaTakti Hai Zaban

jo takabbur se bhaTakti hai zaban

aage aage phir bahakti hai zaban

ho gaya nasur har ek lafz hai

bolta hun pakne lagti hai zaban

jild se chhan chhan ke bahte hain KHayal

aur aankhon se chhalakti hai zaban

nam-e-jaan kitna garan hai jaan pe

halq galta hai pighalti hai zaban

moajiza hai ye bhi us ke qaul ka

bund ban kar jo barasti hai zaban

kuchh mulaqaton mein hi hai ye asar

tujh mein bhi meri jhalakti hai zaban

(1070) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Takabbur Se BhaTakti Hai Zaban In English By Famous Poet Atif Khan. Jo Takabbur Se BhaTakti Hai Zaban is written by Atif Khan. Read famous Poem Jo Takabbur Se BhaTakti Hai Zaban for youth and Student by Atif Khan. Free Download Jo Takabbur Se BhaTakti Hai Zaban in PDF.