Ek Wo Hi ShaKHs Mujhko Ab Gawara Bhi Nahin
ek wo hi shaKHs mujh ko ab gawara bhi nahin
jabr ye us ke siwa apna guzara bhi nahin
shakl-e-hijrat rang lain aaKHirash sab koshishen
hum agar lauTe nahin us ne pukara bhi nahin
jis pe tum KHamosh ho bas ek zara si baat thi
baat bhi aisi ki jis mein kuchh KHasara bhi nahin
hain ajab dariya mein hum jo darmiyan se KHushk hai
aur ajab to ye kinare par kinara bhi nahin
fazl ek bas be-hisi aur shaghl ek bas KHamushi
yani koi zindagi ka istiara bhi nahin
aa ke mere ghar ka 'atif' ye tamasha dekhiye
mere dar-diwar ko chhat ka sahaara bhi nahin
bas bhi kar 'atif' ke teri rahbari se baz aae
ghaar-e-shab mein subh ka koi sitara bhi nahin
(731) Peoples Rate This