Darmiyan-e-gunah-o-sawab Aadmi
darmiyan-e-gunah-o-sawab aadmi
hai KHud apne liye hi azab aadmi
ye zamin jis KHata ki bani thi saza
main wahi to hun KHana-KHarab aadmi
hal muamme ka jaise muamma koi
bas ki hai aadmi ka jawab aadmi
dekh be-saKHta aks ghabra gaya
shishe ke samne be-hijab aadmi
falsafa bhi KHudi falsafi bhi KHudi
aap talib hai aap hi kitab aadmi
hashiya hai kabhi aur kabhi rang hai
jaise jam aadmi aur sharab aadmi
maut de bhi gai hai jawab-e-azal
aur khaDa rah gaya la-jawab aadmi
mujh se jal-thal hua hai mera andarun
main ne kar hi diya be-naqab aadmi
(852) Peoples Rate This