Mohabbaten Bhi Likhi Hui Hain Adawaten Bhi Likhi Hui Hain
mohabbaten bhi likhi hui hain adawaten bhi likhi hui hain
kitab-e-dil mein to jine marne ki muddaten bhi likhi hui hain
barahna peDon ke zawiyon mein ghane andhere uge hain lekin
inhi andheron mein raushni ki ibaraten bhi likhi hui hain
yahi zamin hai ki jis ne mujh ko mera hi qatil bana diya hai
isi zamin par mere lahu ki shahadaten bhi likhi hui hain
hanut chehron ke aainon mein hawa ki lahron ne ye bhi dekha
khanDar khanDar par nae dinon ki bashaaraten bhi likhi hui hain
meri nazar mein suragh-e-manzil shuur ban kar chamak raha hai
meri jabin par kaDe safar ki masafaten bhi likhi hui hain
sitam ke maron ki be-hisi ko tamasha-gahon mein lane walo
nahif jismon ki bebasi mein baghawaten bhi likhi hui hain
jadid harfon ke daeron mein purani KHushbu rachi hui hai
sada ke ruKH par gai ruton ki shabahaten bhi likhi hui hain
zamin ki ThanDi tahon ke andar alaw karwaT badal rahe hain
hawa ke sakit pane pe 'athar' qayamaten bhi likhi hui hain
(724) Peoples Rate This