KHud Ko Kisi Ki Rah-guzar Kis Liye Karen
KHud ko kisi ki rah-guzar kis liye karen
tu ham-safar nahin to safar kis liye karen
jab tu ne hi nigah mein rakkha nahin hamein
ab aur kisi ke zehn mein ghar kis liye karen
kyun tujh ko yaad kar ke ganwaen hasin sham
palkon ko tere nam pe tar kis liye karen
mansub-e-jaan ho aur koi paikar-e-KHayal
kar sakte hain ye kaam magar kis liye karen
kyun chhoD den na sham se pahle hi tera shahr
tujh se bichhaD ke raat basar kis liye karen
kis ke liye charagh jalaen tamam raat
'nasik' phir ehtimam-e-sahar kis liye karen
(1039) Peoples Rate This