Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5a38d5e54a832dfeaeacfb36401dd482, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi Kabhaar Bhi Kab Saeban Kisi Ne Diya - Athar Nasik Poetry In English - Darsaal

Kabhi Kabhaar Bhi Kab Saeban Kisi Ne Diya

kabhi kabhaar bhi kab saeban kisi ne diya

na hath sar pe ba-juz aasman kisi ne diya

nisar main teri yaadon ki chhatriyon pe nisar

na is tarah ka kabhi saeban kisi ne diya

hamare panw bhi apne nahin hain aur sar bhi

zamin kahin se mili aasman kisi ne diya

bika tha kal bhi to ek zehan chand sikkon mein

sanad kisi ko mili imtihan kisi ne diya

ulajh paDa tha wo malik-makan se ek din

phir is ke baad na us ko makan kisi ne diya

tu itne gham ko sambhaalega kis tarah 'nasik'

agar tujhe bhi gham-e-bekaran kisi ne diya

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Kabhaar Bhi Kab Saeban Kisi Ne Diya In English By Famous Poet Athar Nasik. Kabhi Kabhaar Bhi Kab Saeban Kisi Ne Diya is written by Athar Nasik. Read famous Poem Kabhi Kabhaar Bhi Kab Saeban Kisi Ne Diya for youth and Student by Athar Nasik. Free Download Kabhi Kabhaar Bhi Kab Saeban Kisi Ne Diya in PDF.