Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3d1db7a975e7f058df67376c8da2c736, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chup-chap Habs-e-waqt Ke Pinjre Mein Mar Gaya - Athar Nasik Poetry In English - Darsaal

Chup-chap Habs-e-waqt Ke Pinjre Mein Mar Gaya

chup-chap habs-e-waqt ke pinjre mein mar gaya

jhonka hawa ka aate hi kamre mein mar gaya

suraj lihaf oDh ke soya tamam raat

sardi se ek parinda dariche mein mar gaya

jo naKHuda ko kah na saka umr bhar KHuda

wo shaKHs kal ana ke jazire mein mar gaya

editori ne kaT din taKHliq ki ragen

achchha-bhala adib risale mein mar gaya

suraj ne aansuon ki tawanai chhin li

shabnam sa shaKHs dhup ke qasbe mein mar gaya

is martaba bhi sachchi gawahi usi ne di

is martaba magar wo kaTahre mein mar gaya

'nasik' wo apni zat mein manzil se kam na tha

wo rah-raw-e-hayat jo raste mein mar gaya

(1070) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chup-chap Habs-e-waqt Ke Pinjre Mein Mar Gaya In English By Famous Poet Athar Nasik. Chup-chap Habs-e-waqt Ke Pinjre Mein Mar Gaya is written by Athar Nasik. Read famous Poem Chup-chap Habs-e-waqt Ke Pinjre Mein Mar Gaya for youth and Student by Athar Nasik. Free Download Chup-chap Habs-e-waqt Ke Pinjre Mein Mar Gaya in PDF.