Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_721911a7da35a03575ae2da7bbee7bed, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Agar Yaqin Na Rakhte Guman To Rakhte - Athar Nasik Poetry In English - Darsaal

Agar Yaqin Na Rakhte Guman To Rakhte

agar yaqin na rakhte guman to rakhte

hum apne hone ka koi nishan to rakhte

tamam din jo kaDi dhup mein sulagte hain

ye peD sar pe koi saeban to rakhte

hamari baat samajh mein to un ki aa jati

hum apne sath koi tarjuman to rakhte

hamein safar ka KHasara pasand tha warna

musafirat ki thakan sar pe tan to rakhte

mushahidat ka dar laziman khula hota

hum apni aankh su-e-shama-dan to rakhte

jila ke baiTh gae daman-e-sahar 'nasik'

sitare TuT rahe the to dhyan to rakhte

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Yaqin Na Rakhte Guman To Rakhte In English By Famous Poet Athar Nasik. Agar Yaqin Na Rakhte Guman To Rakhte is written by Athar Nasik. Read famous Poem Agar Yaqin Na Rakhte Guman To Rakhte for youth and Student by Athar Nasik. Free Download Agar Yaqin Na Rakhte Guman To Rakhte in PDF.