Sochte Aur Jagte Sanson Ka Ek Dariya Hun Main
sochte aur jagte sanson ka ek dariya hun main
apne gum-gashta kinaron ke liye bahta hun main
besh-qimat hun meri qimat laga sakta hai kaun
tere kuche mein bikun to phir bahut sasta hun main
KHwab jo dekhe the main ne wo bhi ab dhundla gae
ab to tum aa jao sahab ab bahut tanha hun main
jal gaya sara badan in mausamon ki aag mein
ek mausam ruh hai jis mein ki ab zinda hun main
mere honTon ka tabassum de gaya dhoka tujhe
tu ne mujh ko bagh jaana dekh le sahra hun main
main to yaro aap apni jaan ka dushman hua
zahr ban ke aap apni ruh mein utra hun main
dekhne meri pazirai ko ab aata hai kaun
lamha bhar ko waqt ki dahliz par aaya hun main
tu ne be-dekhe guzar kar mujh ko patthar kar diya
tu palaT kar dekh le to aaj bhi hira hun main
lafz gunge hain inhen goyai dene ke liye
zindagi ke sachche lamhon mein ghazal kahta hun main
(1406) Peoples Rate This