Raunaq-e-besh-o-kam Kis Ke Hone Se Hai

raunaq-e-besh-o-kam kis ke hone se hai

mausam-e-KHushk-o-nam kis ke hone se hai

kis ka chehra banati hain ye saaten

waqt ka zer-o-bam kis ke hone se hai

kaun guzra ki bante gae raste

rah ka pech-o-KHam kis ke hone se hai

kis ki KHatir darichon se aai hawa

ye faza yun baham kis ke hone se hai

shaKH-dar-shaKH patton ki ye zindagi

aaj bhi mohtaram kis ke hone se hai

maut bar-haq hai kis ke na hone se aaj

zindagi dam-ba-dam kis ke hone se hai

kis ki zulfon ka eajaz hai bu-e-gul

ye hawaon mein nam kis ke hone se hai

subh-e-shadabi-e-jaan ka kyun hai malal

ishrat-e-sham-e-gham kis ke hone se hai

wahshat-e-dil ko kis ne sambhaala diya

ye junun kam se kam kis ke hone se hai

kis se mansub hai har jafa har wafa

ye sitam ye karam kis ke hone se hai

(1086) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raunaq-e-besh-o-kam Kis Ke Hone Se Hai In English By Famous Poet Athar Nafees. Raunaq-e-besh-o-kam Kis Ke Hone Se Hai is written by Athar Nafees. Read famous Poem Raunaq-e-besh-o-kam Kis Ke Hone Se Hai for youth and Student by Athar Nafees. Free Download Raunaq-e-besh-o-kam Kis Ke Hone Se Hai in PDF.