Lamhon Ke Azab Sah Raha Hun
lamhon ke azab sah raha hun
main apne wajud ki saza hun
zaKHmon ke gulab khil rahe hain
KHushbu ke hujum mein khaDa hun
is dasht-e-talab mein ek main bhi
sadiyon ki thaki hui sada hun
is shahr-e-tarab ke shor-o-ghul mein
taswir-e-sukut ban gaya hun
benam-o-numud zindagi ka
ek bojh uThae phir raha hun
shayad na mile mujhe rihai
yaadon ka asir ho gaya hun
ek aisa chaman hai jis ki KHushbu
sanson mein basae phir raha hun
ek aisi gali hai jis ki KHatir
darmanda ku-ba-ku raha hun
ek aisi zamin hai jis ko chhu kar
taqdis-e-haram se aashna hun
ai mujh ko fareb dene wale
main tujh pe yaqin kar chuka hun
main tere qarib aate aate
kuchh aur bhi dur ho gaya hun
(1589) Peoples Rate This