Kya Waqt PaDa Hai Tere Aashufta-saron Par
kya waqt paDa hai tere aashufta-saron par
ab dasht mein milte nahin milte hain gharon par
pahchan lo is KHak-e-rah-e-hirs-o-hawas ko
qadmon se ye uThti hai to girti hai saron par
KHud apne hi andar se ubharta hai wo mausam
jo rang bichha deta hai titli ke paron par
saughat samajhte the jise dasht-e-wafa ki
wo KHak bhi sajti nahin ab apne saron par
ubhra na tera husn-e-KHad-o-KHal abhi tak
taswir teri qarz hai taswir-garon par
kanTe bhi chune rah ke patthar bhi haTae
manzil na hui sahl magar ham-safaron par
phir pakke makanon ke makin KHanda-ba-lab hain
yalghaar hai dariyaon ki phir kachche gharon par
(1421) Peoples Rate This