Dil Ki Masarraten Nai Jaan Ka Malal Hai Naya
dil ki masarraten nai jaan ka malal hai naya
meri ghazal mein aaj phir ek sawal hai naya
ab jo khile hain dil mein phul un ki bahaar hai nai
ab jo lagi hai dil mein aag us ka jalal hai naya
us ke liye bhi gham-za-e-naz-o-ada ka waqt hai
apne liye bhi mausam-e-hijr-o-visal hai naya
us mein bhi KHud-numai ke rang bahut hain in dinon
apne liye bhi arsa-e-KHwab-o-KHayal hai naya
jag uTha hai ek chaman meri hudud-e-zat mein
us ke qarib hi kahin dasht-e-malal hai naya
ruh mein jal uThe hain aaj lazzat-e-qurb ke charagh
soz-o-gudaz-e-hijr bhi shamil-e-haal hai naya
jhum uThe hain barg-o-bar phul khile hain be-shumar
ai meri ruh-e-be-qarar tera to haal hai naya
us ne meri nigah ke sare suKHan samajh liye
phir bhi meri nigah mein ek sawal hai naya
(889) Peoples Rate This