Sisakte Phulon Ka Koi Bhi Dard-mand Nahin

sisakte phulon ka koi bhi dard-mand nahin

mahak se pyar hai masumiyat pasand nahin

chalo to hum bhi samundar koi talash karen

suna hai ret ki diwar kuchh buland nahin

lahakti shaKH lahu mein na kyun naha uTThe

saba ke pas sajawaT ki wo kamand nahin

jo sun sako to mujhe dhaDkanon ki lai pe suno

main ek saz hun aawaz ka samand nahin

pawan ki khoj mein parbat ko chumti kirno

palaT bhi aao ki patton ke honT band nahin

(864) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sisakte Phulon Ka Koi Bhi Dard-mand Nahin In English By Famous Poet Athar Aziz. Sisakte Phulon Ka Koi Bhi Dard-mand Nahin is written by Athar Aziz. Read famous Poem Sisakte Phulon Ka Koi Bhi Dard-mand Nahin for youth and Student by Athar Aziz. Free Download Sisakte Phulon Ka Koi Bhi Dard-mand Nahin in PDF.