Dil To Barsata Hai Har Roz Hi Gham Ke Sawan

dil to barsata hai har roz hi gham ke sawan

phir bhi bujhte nahin yaadon ke sulagte indhan

zindagi KHwabon ki chilman mein yun iThlati hai

jaise sakhiyon mein ghiri ho koi sharmili dulhan

ab to har roz hi ek aanch nai uThti hai

ye mera jism na ban jae dahakta madfan

is se pahle ki saba aankh-micholi khele

band kar do dar-e-ummid ka har har rauzan

shab ke aaine mein taswir-e-tamanna dekho

aks dikhlaega kya tum ko sahar ka darpan

is qadar bhi to satao na bahakte KHwabo

dil tabir ki ruk jae larazti dhaDkan

hai wo wahshat ki hawa bhi nahin chalti 'athar'

ban gaya kitna bhayanak ye wafa ka aangan

(710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil To Barsata Hai Har Roz Hi Gham Ke Sawan In English By Famous Poet Athar Aziz. Dil To Barsata Hai Har Roz Hi Gham Ke Sawan is written by Athar Aziz. Read famous Poem Dil To Barsata Hai Har Roz Hi Gham Ke Sawan for youth and Student by Athar Aziz. Free Download Dil To Barsata Hai Har Roz Hi Gham Ke Sawan in PDF.