Mohabbat Ki Manzil
aise to nahin chheDo mere jism ke tambure ko
jaise koi bachcha shararat kare
mera jism koi raaz nahin hai
jise daryaft karne ke liye
kisi naqshe ki zarurat ho
ye algebra ka sawal nahin hai
jis ka pahle se formula tayyar ho
is saz ko bajaane ke liye koi bhi tarkib
duniya ki kisi bhi kitab mein darj nahin
ye saz az-KHud bajne lage agar
tere nain mohabbat ke diye ban kar jal uThen
teri ungliyon ki poren
mere jism par aise safar karti hain
jaise koi muhim jo pahaD ki choTi par
fatah ka parcham lahrana chahe
barf ka pahaD bhi pighalne lage agar
tere hath mere par ban kar
mujhe mohabbat ki manzil ki taraf
uDa kar le jaen
(850) Peoples Rate This