Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a284a412b40acc1264c4532c857a5752, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri Mushkil Agar Aasan Bana Dete To Achchha Tha - Ateequrrahman Safi Poetry In English - Darsaal

Meri Mushkil Agar Aasan Bana Dete To Achchha Tha

meri mushkil agar aasan bana dete to achchha tha

labon se lab dam-e-aKHir mila dete to achchha tha

main ji sakta tha bas teri zara si ek inayat se

mere hathon mein hath apna thama dete to achchha tha

meri betab dhaDkan ko bhi aa jata qarar aaKHir

mere KHwabon ki duniya ko saja dete to achchha tha

tumhaari be-ruKHi par dil mera bechain rahta tha

kabhi aadat ye tum apni bhula dete to achchha tha

kabhi is jald-bazi ka samar achchha nahin hota

koi din aur chahat mein bita dete to achchha tha

'safi' aansu bhi dushman ban gae hain dekh le aaKHir

na in ko zabt karte tum baha dete to achchha tha

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Mushkil Agar Aasan Bana Dete To Achchha Tha In English By Famous Poet Ateequrrahman Safi. Meri Mushkil Agar Aasan Bana Dete To Achchha Tha is written by Ateequrrahman Safi. Read famous Poem Meri Mushkil Agar Aasan Bana Dete To Achchha Tha for youth and Student by Ateequrrahman Safi. Free Download Meri Mushkil Agar Aasan Bana Dete To Achchha Tha in PDF.