Dil Lagana Chahiye Chal Kar Kisi Haiwan Se

dil lagana chahiye chal kar kisi haiwan se

darjha behtar hain ye is daur ke insan se

barkaten jo uTh gai hain aaj dastar-KHwan se

mezban Darne lage hain aamad-e-mehman se

fasl boi jaegi sunte hain ab mirriKH par

duriyan yun baDh rahi hain khet se khaliyan se

kar liya hai sab ne jaez har amal is khel mein

garm rakkhenge siyasat jhuT se bohtan se

sard hogi ek din ye aatish-e-namrud bhi

barha guzre hain hum is karb ke tufan se

waqt ki raftar ne sab ka badal Dala mizaj

shaeri bhi ho rahi hai ab nae unwan se

mulk se rishta hamara hai kuchh aisa hi 'atiq'

jism ka jaise hua karta hai rishta jaan se

(1077) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Lagana Chahiye Chal Kar Kisi Haiwan Se In English By Famous Poet Ateeq Muzaffarpuri. Dil Lagana Chahiye Chal Kar Kisi Haiwan Se is written by Ateeq Muzaffarpuri. Read famous Poem Dil Lagana Chahiye Chal Kar Kisi Haiwan Se for youth and Student by Ateeq Muzaffarpuri. Free Download Dil Lagana Chahiye Chal Kar Kisi Haiwan Se in PDF.