Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2fe247bad743085b05cb514648643529, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shikayat Hai Bahut Lekin Gila Achchha Nahin Lagta - Ateeq Asar Poetry In English - Darsaal

Shikayat Hai Bahut Lekin Gila Achchha Nahin Lagta

shikayat hai bahut lekin gila achchha nahin lagta

dilon ki baat hai kam hausla achchha nahin lagta

nami aaankhon mein soz-e-dil ka unwan-e-takallum hai

magar KHamosh ashkon ka sila achchha nahin lagta

idhar aana na jaana hi adhar gum-karda rahi hai

tazabzub ka mujhe ye marhala achchha nahin lagta

masarrat aur gham donon ki koi had zaruri hai

kisi bhi ek shai ka silsila achchha nahin lagta

bura lagta hai hum ko ek tanasub ka bigaD jaana

kuchh aise log hain jin ko bhula achchha nahin lagta

'atiq' aisa bhi jina koi jina hai bhala aaKHir

na howe jis mein josh-o-walwala achchha nahin lagta

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikayat Hai Bahut Lekin Gila Achchha Nahin Lagta In English By Famous Poet Ateeq Asar. Shikayat Hai Bahut Lekin Gila Achchha Nahin Lagta is written by Ateeq Asar. Read famous Poem Shikayat Hai Bahut Lekin Gila Achchha Nahin Lagta for youth and Student by Ateeq Asar. Free Download Shikayat Hai Bahut Lekin Gila Achchha Nahin Lagta in PDF.