Qarib Se Na Guzar Intizar Baqi Rakh
qarib se na guzar intizar baqi rakh
qarabaton ka magar e'tibar baqi rakh
bikharna hai to faza main bikher de KHushbu
haya nazar mein qadam mein waqar baqi rakh
hamein hamare hi KHwabon se kaun rokega
khencha hua hai jo KHatt-e-hisar baqi rakh
tera wajud ibarat hai KHush-adai se
kashida-qamati-e-KHush-gawar baqi rakh
KHizan se sulh barat kyunki wo to aaegi
phir ehtimam se fasl-e-bahaar baqi rakh
ye kaj-kulah nae waqt ke na Thahrenge
khinchi kaman mere shahryar baqi rakh
miTe miTe se nuqush-e-qadam hain kuchh baqi
ye KHushbuon mein basi rahguzar baqi rakh
ye sard-o-garm jo mahaul ke taqaze hain
ba-chashm-e-nam nafas-e-shoala-bar baqi rakh
takan hai to sambhal ja magar na ungh kabhi
safar ki dhul badan ka ghubar baqi rakh
ana bikher na hargiz bacha ke rakh KHud ko
har ek dar pe na daman pasar baqi rakh
ye nau-taraazi-e-mani bhi ek shai hai 'atiq'
riwayaton se bhi rishte sanwar baqi rakh
(940) Peoples Rate This