Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9681e637b916768f096ae8619bf420f1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Harf Larzan Hain Ki HonTon Pe Wo Aaen Kaise? - Ateeq Asar Poetry In English - Darsaal

Harf Larzan Hain Ki HonTon Pe Wo Aaen Kaise?

harf larzan hain ki honTon pe wo aaen kaise?

rah mein aahon ke shoale hain bujhaen kaise?

waza-dari ke wo pahre hain ki ai jazba-e-dil

sang aur aaina ek sath uThaen kaise?

wo manazir jo tabiat ko jawan rakhte hain

ai KHizan ab tere hathon se bachaen kaise?

KHushk aankhon mein utarne se bhala kya hoga

dil hai sad-para bhala is mein biThaen kaise?

Dar hai daman na sulag jae Tapak jae agar

ashk aankhon mein taDapte hain bahaen kaise?

ai 'atiq' aap ki ye kam-nazari hai warna

is qadar jalwe hain aankhon mein sajaen kaise?

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Harf Larzan Hain Ki HonTon Pe Wo Aaen Kaise? In English By Famous Poet Ateeq Asar. Harf Larzan Hain Ki HonTon Pe Wo Aaen Kaise? is written by Ateeq Asar. Read famous Poem Harf Larzan Hain Ki HonTon Pe Wo Aaen Kaise? for youth and Student by Ateeq Asar. Free Download Harf Larzan Hain Ki HonTon Pe Wo Aaen Kaise? in PDF.