Udas BaiTha Diye ZaKHm Ke Jalae Hue
udas baiTha diye zaKHm ke jalae hue
unhen main soch raha hun jo ab parae hue
mujhe na chhoD akela junun ke sahra mein
ki raste ye tere hi to hain dikhae hue
ghira hua hun main kab se jazira-e-gham mein
zamana guzra samundar mein mauj aae hue
kabhi jo nam likha tha gulon pe shabnam se
wo aaj dil mein mere aag hai lagae hue
zamana phul bichhata tha meri rahon mein
jo waqt badla to patthar hai ab uThae hue
haya ka rang wahi un ka mere KHwab mein bhi
dabae danton mein ungli nazar jhukae hue
main tum se tark-e-ta'alluq ki baat kyun sochun
juda na jismon se 'anzar' kabhi bhi sae hue
(838) Peoples Rate This