Guzishta Raat Koi Chand Ghar Mein Utra Tha
guzishta raat koi chand ghar mein utra tha
wo ek KHwab tha ya bas nazar ka dhoka tha
sitare os mere sath subh tak roe
magar wo shaKHs to patthar ka jaise tursha tha
bichhaDte waqt ana darmiyan thi warna
manana donon ne ek dusre ko chaha tha
qarib aa ke bhi KHwabon ki kho gain kirnen
ki mujh se aage mera bad-nasib saya tha
gila nahin hai jo us ne mujhe na pahchana
lahu-luhan meri zindagi ka chehra tha
nigal saka na shab-e-gham ka azhdaha mujh ko
ufuq pe waqt-e-sahar aaftab ubhra tha
hasin chand ke chehre pe paD gae dhabbe
ki mere dil ke andhere se ye bhi guzra tha
(858) Peoples Rate This