Tilsim-e-shab Se Bahut Be-KHabar Chale Aae

tilsim-e-shab se bahut be-KHabar chale aae

ye kya ki sham Dhale yar ghar chale aae

kashish kuchh aisi thi miTTi ki bas mein hum log

qaza ka dam bichha tha magar chale aae

ajab hai kya jo mile wo hamein dobara bhi

hum ek KHwab mein bar-e-digar chale aae

KHiram karti hawaon pe tairte nashshe

chala wo shoKH jidhar ko udhar chale aae

khuli jo aankh to viran tha har ek manzar

Dhali jo raat to kya kya na Dar chale aae

wo aahaTen bhi kahin kho gain hamesha mein

hamari samt bhaTakte khanDar chale aae

hum ahl-e-shauq ko sahra ki wusaton mein 'ata'

asir karne ko diwar-o-dar chale aae

(702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tilsim-e-shab Se Bahut Be-KHabar Chale Aae In English By Famous Poet Ataurrahman Qazi. Tilsim-e-shab Se Bahut Be-KHabar Chale Aae is written by Ataurrahman Qazi. Read famous Poem Tilsim-e-shab Se Bahut Be-KHabar Chale Aae for youth and Student by Ataurrahman Qazi. Free Download Tilsim-e-shab Se Bahut Be-KHabar Chale Aae in PDF.