Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di
waise to is ghar ko us ne chahe kam KHush-haali di
beTa bar-KHurdar diya aur beTi hausle wali di
ghusse mein donon ne ek duje ke hath ko jhaTka tha
aur ab soch rahe hain pahle kis ne kis ko gali di
kuchh main KHud bhi har ek shaKHs ki baaton mein aa jata hun
kuchh waise bhi us ne mujh ko surat bholi-bhaali di
warna kaam tha mera to phulon se rizq kamane tak
phir us ne ek bagh ki mere hathon mein rakhwali di
dhup baDhi to wo bhi apne apne panw khinch gae
main ne apne hisse ki jin peDon ko hariyali di
dil ne meri ek sada par donon hathon dan kiya
jab zambil mohabbat ne jazbaat se mujh ko KHali di
tu bhi man gaya ai dost ki dariya sirf Dubota hai
mere bare mein duniya ne tujh ko KHam-KHayali di
pahle meri aankhon se sarmaya chhina nindon ka
badle mein phir hijr ne meri aankhon ko ye lali di
wo hi dega mujh ko phir tamir uThane ki himmat
jis ne 'hasan' in baam-o-dar ko itni KHasta-haali di
(725) Peoples Rate This