Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c70041dfa7d144de95786ec075d9af17, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
FaKHta ShaKH Se UDte Hue Ghabrai Thi - Ataul Hasan Poetry In English - Darsaal

FaKHta ShaKH Se UDte Hue Ghabrai Thi

faKHta shaKH se uDte hue ghabrai thi

jab parindon ke bilakne ki sada aai thi

aable meri zaban par hain to hairat kaisi

main ne ek bar teri jhuTi qasam khai thi

kab ye socha tha barabar se guzar jaega

meri jis shaKHs se barson ki shanasai thi

ab wo kahta hai ki zanjir bani mere liye

us ke pairon mein jo pael kabhi pahnai thi

waqt badle to har ek rishta badalta hai 'hasan'

dil mein diwar kahan pahle mere bhai thi

(974) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

FaKHta ShaKH Se UDte Hue Ghabrai Thi In English By Famous Poet Ataul Hasan. FaKHta ShaKH Se UDte Hue Ghabrai Thi is written by Ataul Hasan. Read famous Poem FaKHta ShaKH Se UDte Hue Ghabrai Thi for youth and Student by Ataul Hasan. Free Download FaKHta ShaKH Se UDte Hue Ghabrai Thi in PDF.