Aao Phir Se Diya Jalaen

bhari do-pahri mein andhiyara

suraj parchhain se haara

anatratm ka neh nichoDen bujhi hui baqi sulgaen

aao phir se diya jalaen

hum paDaw ko samjhe manzil

lakshya hua aankhon se ojhal

wartaman ke moh jal mein aane wala kal na bhulaen

aao phir se diya jalaen

aahuti baqi yagya adhura

apnon ke wighnon ne ghera

antim jai ka wajr banane nau dadhichi haDDiyan galaen

aao phir se diya jalaen

(4261) Peoples Rate This

Related Poetry

Atal Bihari Vajpayee's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Aao Phir Se Diya Jalaen In English By Famous Poet Atal Bihari Vajpayee. Aao Phir Se Diya Jalaen is written by Atal Bihari Vajpayee. Read famous Poem Aao Phir Se Diya Jalaen for youth and Student by Atal Bihari Vajpayee. Free Download Aao Phir Se Diya Jalaen in PDF.