Wo Sukun-e-jism-o-jaan Girdab-e-jaan Hone Ko Hai
wo sukun-e-jism-o-jaan girdab-e-jaan hone ko hai
paniyon ka phul pani mein rawan hone ko hai
mahi-e-be-ab hain aankhon ki be-kal putliyan
in nigahon se koi manzar nihan hone ko hai
gum hua jata hai koi manzilon ki gard mein
zindagi bhar ki masafat raegan hone ko hai
main fasil-e-jism ke bahar khaDa hun dam-ba-KHud
marka sa KHwahishon ke darmiyan hone ko hai
jagta rahta hun us ki wusaton ke KHwab mein
chashm-e-hairan se bayan ek dastan hone ko hai
sham hote hi 'ata' kyun Dubne lagta hai dil
kuchh na kuchh hone ko hai aur na-gahan hone ko hai
(955) Peoples Rate This