Wo Gard Hai Ki Waqt Se Ojhal To Main Bhi Hun
wo gard hai ki waqt se ojhal to main bhi hun
phir bhi ghubar jaisa koi pal to main bhi hun
KHwahish ki wahshaton ka ye jangal hai pur-KHatar
mujh se bhi ehtiyat ki jangal to main bhi hun
lagta nahin ki us se marasim bahaal hon
main kya karun ki thoDa sa pagal to main bhi hun
wo mere dil ke goshe mein maujud hai kahin
aur us ke dil mein thoDi si halchal to main bhi hun
nikle ho qatra qatra mohabbat talashne
dekho idhar ki pyar ki chhagal to main bhi hun
kaise ise nikalun main zindan-e-zat se
zindan-e-zat hi mein muqaffal to main bhi hun
mazi ke aaine mein 'ata' koi KHush-ada
shikwa-kunan tha kahta tha sanwal to main bhi hun
(946) Peoples Rate This