BhaTak Rahi Hai Ata KHalq-e-be-aman Phir Se
bhaTak rahi hai 'ata' KHalq-e-be-aman phir se
saron se khinch liye kis ne saeban phir se
dilon se KHauf nikalta nahin azabon ka
zamin ne oDh liye sar par aasman phir se
main teri yaad se nikla to apni yaad aai
ubhar rahe hain miTe shahr ke nishan phir se
teri zaban pe wahi harf-e-anjuman-ara
meri zaban pe wahi harf-e-raegan phir se
abhi hijab sa hail hai darmiyan mein 'ata'
abhi to honge lab-o-harf raaz-dan phir se
(757) Peoples Rate This