Tanhaiyon Ke Dasht Mein Bhage Jo Raat Bhar
tanhaiyon ke dasht mein bhage jo raat bhar
wo din ko KHak jagega jage jo raat bhar
fikr-e-maash ne unhen qissa bana diya
sajti thin apni mahfilen aage jo raat bhar
wo din ki raushni mein pareshan ho gaya
suljha raha tha baKHt ke dhage jo raat bhar
kya kya na pyas jage mere dil ke dasht mein
hasrat bhi ek aag hai lage jo raat bhar
dasht-e-ghazal mein jaane kahan tak chale gae
su-e-ghazal qafiya bhage jo raat bhar
(898) Peoples Rate This