Mehnat Se Mil Gaya Jo Dafine Ke Bich Tha
mehnat se mil gaya jo dafine ke bich tha
dariya-e-itr mere pasine ke bich tha
aazad ho gaya hun zaman-o-makan se
main ek ghulam tha jo madine ke bich tha
asl-e-suKHan mein nam ko pechidgi na thi
ibham jis qadar tha qarine ke bich tha
jo mere ham-sinon se baDa kar gaya mujhe
ehsas ka wo din bhi mahine ke bich tha
kam-zarfiyon ne zarf ko mazruf kar diya
jis dard mein ghira hun wo sine ke bich tha
hain mar-e-ganj mar ke bhi sab Dase hue
taqsim ka wo zahr KHazine ke bich tha
tufan-e-bahr KHak Daraata mujhe 'turab'
us se baDa bhanwar to safine ke bich tha
(848) Peoples Rate This