Kahin Jamal-paziri Ki Had Nahin Rakhta
kahin jamal-paziri ki had nahin rakhta
main baDh raha hun tasalsul se qad nahin rakhta
ye qabl o baad ke us par ki hikayat hai
mera dawam azal aur abad nahin rakhta
wo ek ho ke bhi hum se gina nahin jata
wo ek ho ke bhi aage adad nahin rakhta
ye umr bhar ki riyazat mera muqaddar hai
tarashta hun jise KHal-o-KHad nahin rakhta
wo ek suKHan hi hamari sanad na ban jae
wo ek suKHan jo tumhaari sanad nahin rakhta
'turab' kasa-e-dil pesh kar diya jae
suna hai koi saKHawat ki had nahin rakhta
(752) Peoples Rate This