Yak Lamha Sahi Umr Ka Arman Hi Rah Jae
yak lamha sahi umr ka arman hi rah jae
is KHalwat-e-yaKH mein koi mehman hi rah jae
qurbat mein shab-e-garm ka mausam hai tera jism
ye KHitta-e-jaan waqf-e-zamistan hi rah jae
mujh shaKH-e-barahana pe saja barf ki kaliyan
patjhaD pe tere husn ka ehsan hi rah jae
farfag ke aashob mein jam jati hain sochen
is karb-e-qayamat mein tera dhyan hi rah jae
tujh bin to sunai na de suraj ki sada bhi
dil dasht-e-hawa-basta hai sunsan hi rah jae
marmar ki silon mein to ghuTe aage ka dam bhi
ye qarya-e-jaanan hai yahan jaan hi rah jae
sochun to shuaon se tarashun tera paikar
chhu lun to wahi barf ka insan hi rah jae
ye sham ye chandi ka barasta hua jharna
koi teri zulfon mein pareshan hi rah jae
surat se wo 'gul-barf' sahi phir bhi 'ata-shad'
tasir mein wo mushk ki pahchan hi rah jae
(959) Peoples Rate This