Dhala Jo Din To Gaya Nur-e-aftab Bhi Sath
Dhala jo din to gaya nur-e-aftab bhi sath
shabab le gaya ranai-e-shabab bhi sath
wo sath tha to shab-e-zindagi charaghan thi
jilau mein rahte the anjum bhi mahtab bhi sath
hayat kya hai faqat mustaar-e-lamha-e-shauq
ye kah ke le gai mauj-e-hawa habab bhi sath
isi mein KHair hai nazren jhuki rahen warna
nazar uThegi to jal jaega naqab bhi sath
hamin se raunaq-e-hasti hai is KHarabe mein
jo hum miTe to miTegi ye aab-o-tab bhi sath
hayat dard ki tughyaniyon mein Dubi hai
gham-e-habib bhi hai zist ke azab bhi sath
KHuda-e-arsh-e-suKHan se hun faizyab 'kalim'
ki tur-e-sher se laya hun main kitab bhi sath
(656) Peoples Rate This