Ilm
ilm ek aisi daulat hai
koi banT na is ko pae
koi chhanT na is ko pae
har-su us ki dhak hai aisi
koi DanT na is ko pae
ilm ek aisi daulat hai
is se adna hota aala
hota hai past is se baala
chahe gora ho ya kala
is se banta wo rakhwala
ilm ek aisi daulat hai
is se mat rahna tum khinche
rakhta hai jo is ko bhenche
aage wo sab is ke pichhe
har unchai is ke niche
ilm ek aisi daulat hai
ilm hai KHas inam-e-qudrat
nahin hai is se baDh kar neamat
is se sari shan-o-shaukat
is se azmat is se shohrat
ilm ek aisi daulat hai
is daulat ko pao bachcho
aapas mein phailao bachcho
uncha nam kamao bachcho
sab ko ye batlao bachcho
ilm baDi ek daulat hai
(843) Peoples Rate This