Hum Ko Aage Jaana Hai
apni manzil pana hai
hum ko aage jaana hai
rasta hai pur-KHar to kya
chalna hai dushwar to kya
aage hai diwar to kya
diwaron ko Dhana hai
hum ko aage jaana hai
apni manzil pana hai
ilm se allah aur nabi
ilm se apni ye hasti
ilm se din aur duniya bhi
din aur duniya pana hai
hum ko aage jaana hai
apni manzil pana hai
amn se hum hain aur tum bhi
amn hai raunaq duniya ki
amn se duniya hai baqi
duniya ko samjhana hai
hum ko aage jaana hai
apni manzil pana hai
dars hai ye har-chand adaq
kyun ho is ka hamein qalaq
mazi se ab le ke sabaq
mustaqbil chamkana hai
hum ko aage jaana hai
apni manzil pana hai
(1027) Peoples Rate This